Hindi Poem on Child Labour | Stop Child Labour Poem in Hindi | Hindi Poems For Kids | Hindi Rhymes For Children
Aaj Jab Chinu Ko HotelHotel Mein Palte Dhote Dekha
Tabhi Apne Bachpan Mein Maine Jhaank Ke Dekha
Roz Naye Chamchamate Bartano Mein
Mujhe Milta Tha Man Chaha Khana
Nahi Socha Main Kabhi Bhi
Kaise Chamakte Bartan Rozana
Parishram Hota Mere Liye Bas Itna
Apne Bag Ko School Le Jana
Aur Dosto Ke Sath
Khelte Khelte Thak Jana
Kagaj Ke Note Tab Samajh Na Aate
Gullak Mein Bas Sikke Chhanchhanate
Fal Mehnat Ka Hota Hai Meetha
Meri Maa Ne Mujhe Sikhaya Tha
Par Mehnat Ka Matlab Bas
Likhna Panda Bataya Tha
Kyon Chintu Ka Bachpan Nahi Bachpan Jaisa
Kash Na Hota Duniya Mein Koi Baccha Aesa!
No comments:
Post a Comment