Tuesday, December 2, 2014

Zindagi Na Milegi Dobara shayari | Farhan Akhtar

Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai – (Thi Shayari comes when Farhan is heartbroken after meeting his estranged dad)
Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Pighle Neelam Sa – (This Shayari comes after the trio’s deep sea dive).
Pighle Neelam Sa Behta Ye Sama
Neeli Neeli Si Khamoshiyan
Na Kahin Hai Zameen Na Kahin Aasmaan
Sarsaraati Hui Tehniyaan-Pattiyaan
Keh Rahi Hain Bas Ek Tum Ho Yahan
Bas Main Hoon, Meri Saanse Hain Aur Meri Dhadkane
Aisi Gehraiyaan, Aisi Tanhaiyaan, Aur Main… Sirf Main
Apne Hone Par Mujhko Yakeen Aa Gaya
Zinda Ho Tum – (This Shayari comes in the climax)

Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Nazar Mein Khwabo Ki Bijliyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Hawa Ke Jhokon Ke Jaise Aazad Rehna Seekho
Tum Ek Dariya Ke Jaise Lehron Mein Behna Seekho
Har Ek Lamhe Se Tum Milo Khole Apni Baahein
Har Ek Pal Ek Naya Samaa Dekhiye
Jo Apni Aankhon Mein Hairaniya Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
 
 

No comments:

Post a Comment